Data Darbar Aur Lahori is an Article written By Rukhsana Nazli about the love and devotion of lahori people toward the famous Saint of Lahore Hazrat Data Ganj Bakhsh Ali Hajveri
Data Darbar Aur Lahori is an Article written By Rukhsana Nazli about the love and devotion of lahori people toward the famous Saint of Lahore Hazrat Data Ganj Bakhsh Ali Hajveri
زبردست
بہت کچھ نیا سیکھنے کو ملا
اور لاہوریوں کی قسمت پر رشک بھی آیا
boht zabrdast …..mary paas alfaaz ni h k bayen karo …superb Rukhsana Nazli
Thank you Konab Ghumman, yeh aap ki Data Sahib se mohabbat jee. Allah pak in Kamil Waliyo k sadqey humain bhi Emaan ki salamti ata kery. Ameen!
Rukhsana Nazli ap ny to yeh tehreer lilh ker dill ko shad kar diya hai
Jo bhi apny baatein ki hain sub such hain …
Mera taluq lahore say to nhi per Data Saab RA say nisbat bachpan say hai
Mere dadi Amma Allah unko jannat nasseb katein her khas o amm mouqa per humhain wahan le kar jaya karti thin
Sara bachpan mamu ki gari main data Saab k liye kahi gaye Nusrat Fateh Ali khan Marhoom ki qwalia sunty guzra hai mamu har jumairat ko Data sahab jaya karty thy r wapsi per mkhany or sooji k lado laaty mere abu jee abi bhi geyarvi sharif ko doodh le ker Data k dwary jaaty hain mgr pehly ki nisbat ab ruhjaan kam ho gaye hain jiska zaati toor pay mujhy bara afsoos hota hai
Data Saab say Bari aqeedat or muhabbat hai … koi Data saab ka naam bhi ley mera dill baagh baagh ho jata haii iss liye shayad buhat zeyada boll gaye hon please mind mat kijiye ga
Khali moor da nhi Data hajweri tu sachy dillon wekh mang k …… ❤
Thank u Neelam jee, yeah article likhne ka maqsad hi yahi tha k aaj kul k afratafri waley mahol mian jahan her koi dosry se ikhtalaf aur nafrat ka izhar ker raha hay,logo k common interest ko develop ker k unhay aik dosrey k qareeb laya jaskey. baqi rahi baat Data Sahib ki mohabbat ki tou yeah inhe ka faiz hay jo Sohni Digest ki Most Favourite Writer mujh jesy gumnam writer ko comment ker rahi hay 🙂 wesey aap ki Oliya Allah se mohabbat tou aap ke novel “Hai Ahle Wafa Ki Reet Alag” main BaBa Shah Jamal ki Dargah pa “Dhol” aur “Dhamal” description se hi nazar arahi hay. bohut deeply define kia hay aap ne uss kafiat ko lagta hay jaise hum khud dhamal main shamil hogye hon. Allah pak aap ki tahreer mian aur ziyadah taseer de. Ameen!