Jee main ne Kashf ul Mahjoob online hi parhi thi, janab F.D.Gohar sahib ki translation thi lekin ub main ne search kia hay tou Kashf ul Mahjoob net per nahi hay. aap search karein shaid aap ko link mil jaye.
Thanks for appreciation Syed Sahib. Main kia aur meri ouqat kia, Main tou bohut aam si bandi hon aap ka question bohut upper level ki baat hay. Iss ka jawab tou koi aalim hi de sakta hay. Aap apne question k lye Hazrat Data Ganj Bakhsh Ali Hajvery (ra) ki book “Kashf ul Mahjoob” perhian uss main unho ne bohut detail se Shariat aur Tariqat ko discuss kia hay. Aap fermaty hian k tariqat aur Shariat ko alag alag nahi kia jaskta, shariat per amal her hal main hona chahye k ager koi tariqat se gir bhi jaye tou Shariat k dairey mian hi girey ga aur Allah se ummed hay k Allah ussy Shariat pa qaim rehne k sadqy maaf ker de. Iss silsely mian Data Ganj Bakhsh (ra) Khulfa e Rashdeen ki example dety hian jo Marfat, Tareeqat aur Waliyat ke mamba hain lekin sari umar unho ne koi aik amal bhi Shariat ke khilaf nahi kiya. We should think about it.
MashaAllah, aapne jo nukaat bayaan kiye wo behtreen hain. Aapki tehreer batati hai ke aap kisi aala silsile se taalluq rakhti hain. Jo mauzoo aapne chuna wo nehayat gehra hai. Acha hota ke parhne wale yahan apne comments dete aur hamein kuch nukaat ki wazahat parhne ka mauqa milta, par afsos najane kyon log comments karna pasand hi nahin karte. Aapka article parh kar aik sawal zehen mein peda huwa hai, kia sharee’at aur tareeqat aik hi nizam ke do alag naam hain ya ye kisi aur nizam ke do alag darjaat hain?
Jawab keliye bohot bohot shukriya. kia Kashf-ul-Mahjoob Internet par maujood hai?