Sohni Digest

Romantic Urdu Novels Collection, Urdu Stories, Online Reading Urdu Novels PDF download

14 Comments

Add a Comment
  1. salam farrukh ji me ne ap ka novel parha bohat behtareen novel tha or dosri bat me ap ki bat se 100 % mutafiq hon k Allah k qareeb hone k liye zarori nahi k hum orat se pyar kary

    1. Walekum Salam Sister, boht boht shukria novel pasand karne ka. Darasal mujhe is baat se is waja se ikhtalaf hai kyun k hamare ziada tar novel nigaar sirf isy mozu par likhte hain. Yahi waja hai k parhne walo ka mizaaj bhi isy k hisaab se dhall gya hai. Jo k meri nazar main sarasar ghalat hai.

  2. Zabardast buhat acha likha hai ap nay

    1. Boht shukria ap ka novel pasand krne k liye 🙂

  3. Meray pass woh alfaaz nahi hain jin say mein aapko kharaj e tehseen paish karun but no doubt your writing style is fabulous and you choose a very different topic and handled awesomely 2 thumbs up and hats off to you.

    1. Boht boht shukria bhai ap ka. ap ka sirf ye ek comment mere lye hazaro lakhon comments k barabr hai. Ap k is ek comment ne meri sari mehnat wasool krwa di. Mere baqi dono novels bhi parh k dhekain. is k muqable main thore taweel hain, lekin apne qeemti waqt main se kuch waqt nikal kr parhye zaroor.

  4. Muazrat ki Maine aap ka koi novel nahi padha hai is novel ka nam dilchsap laga to twalat ka ndaza lagane ke liye last page dekha tab aap ki tehreer par Nazar padhi Jo aap ne qari ko mukhatib Kar k likhi hai.aap ka frustration smajh me aata hai ki itni mehnat k bad meaari aur ache novels likhne ke bawjood mutwaqo pazirayi nahi mili.lekin…
    Writer sirf apne aur apni tehreero k liye hassaas nahi hota hai balki us ki hassasiyat sab k liye hoti hai.aap ki qaraeen se shikayat baja sahi lekin doosre writers specially romantic likhne walo k liye aap k alfaz ghair zimmedari ki had see bhi age offensive hai. Har kisi ka qalam thamne ka maqsad alag hota hai,kuch shauq ki khatir likhte hai, kuch tafreeh fraham Karne, kuch islahe muashira, kuch in Sab k liye…..is k ilawa bhi aur reason hote hoge,to tafreeh ki khatir likhne wale ya romance likhne wale islahi aur dini mauzuat pe likhne walo see Kam tar kaise ho Gaye? Aap ke ilm me to hoga Adab ko kitne different hisso me divide Kiya Gaya hai, romani, jassosi, muashrati, islahi, tafreeh, mazah,Islami, tarikhi….etc.kisi ko haq nahi ki apne mauzu ka doosre likhne wale k mauzu see mawazna Kare aur doosre k mauzu ko ‘ sasti maqbuliyat ka chor Rasta aur aasan harba’ kahe.
    Aaj ke maane hue writers ko un k zamane me ‘fahsh’kaha jata tha (eg ismat chughtayi aur manto) ho sakta hai ye new writers me see hi koi Kal ka namwar writer ho.
    Aap apni field k new aur struggling writers ki Dil azari Kar ke aur unhe degrade Kar ke apne liye hausal afzai kaise mang sakte hai?
    Mai sirf qari hu aur mujhe aap ka Yu romani likhne walo ko degrade karna acha nahi laga
    to sochiye likhne walo ki kitni Dil azari Hui ho gi. Ishq haqiqi aur ishq majazi to dor ye basic huminity nahi hai ki ek hi letter me apne novel ki pazirayi na milne ki shikayat Kar ke hausla afzayi demand Karen aur fellow writers ko degrade Kiya Jaye.
    Insha Allah aap ka novel zarur padhugi.

    1. boht shukria sister! ap ne itna bara comment kia, agar ap ne ye ghor se parha ho to shayd ap ek baat bhool gaen k mera matlab yahi hai k hamare ziada tr likhne wale sirf isy mozu pr hi kyun likhe chale ja rahe hain???.main ap se ek baat puchta hn bat ko ghuma phira k krne k bajae sirf haan ya na main jawab dijye ga… kia ap manti hain k zaat e bari tala se ishq main mubtala hone k liye phele kisi khatoon se mohabbat honi chahye???

      phele is sawal ka jawab dijye baqi batain dusre comment main krun ga.. kyun mobile se itna bara comment type krne main thori diqqat hoti hai.

  5. Kab Aaey ga ye Novel . .?? Waiting

    1. bhai boht jald aa jayga.. tb tk ap mere doosre dono novels parh kr hosla afzai kr dain.
      shukria

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *